Sunday, February 4, 2007

happening year

this year was the most happening one. Anshu di 1st of Jan ko mom ban gayin to dusri aur Tushar 1st of feb ko dad. nidhi ki 24th ko Raghvendra se shaadi hui to dusri aur Ajju da ki 27th ko surabhi se. hum sabhi bhai behen nidhi ke reception mein bhaagte daudte bhopal gaye aur 26th ko he waapas aa gaye. 26th jan ko meri 3rd anniversary thi. sms aaya tha ashish ka dopahar 2 baje. vahaan se mummy ji, arti di, aur shilpa di ka phone aaya us din. Agle din satya chachi ka. wahaan meri koi zaroorat nahin lagti ab mujhe. koi baat nahin . par aaj 4th of feb ko achaanak ashish ka phone aaya. bohot mushkil tha dil aur dimaag dono ko control karna. sab apne apne khayaal kehte hain is baare mein par koi mere baare mein ye nahin sochta ki ab bacchi nahin hoon mein. jaanti hoon mere liye , meri zindgi ke liye kya hai jo zyaada zaroori hai. ab bas, aur bewakoofi nahin karoongi mein us pyaar aur us insaan ko yaad karke jiske liye aaj tak jeeti to rahi par jise meri kabhi kadar na thi, na hai aur na hogi. par sach kahoon to uski baaton par vishwas karne ko dil karta hai. par jab uski bewafaai ke baare mein sochti hoon to uske saath bitaaye har pal ke kaaran mujhe khud se chid hoti hai. kahir zindgi hai, aage badhna bhi to zaroori hai mere liye. kyun hai na diary?

meri diary ka pehla din

aaj mein phir se apni diary likhna chahti hoon, 2 saal baad, online diary zyaada acchi hai ek diary hamesha sambhalne se. zindgi kab kya dikha de pataa nahin, us dard ko halka kisi se baant kar he kiya ja sakta hai. to phir se meri baatein meri dost diary ke naam.